nuqush-e-ahd-e-guzashta ubhaarne ke liye
nuqūsh-e-ahd-e-guzashta ubhārne ke liye
maiñ kheltā huuñ har ik khel hārne ke liye
tirā hasīn tasavvur hī kam nahīñ ai dost
ġham-e-hayāt ke gesū sañvārne ke liye
sameT le ġham-e-kaunain apne dāman meñ
junūn-e-ishq nayā ruup dhārne ke liye
tamām-umr mirī zindagī rahī betāb
sukūn kā koī lamha guzārne ke liye
jigar ke zaḳhmoñ pe kyā kyā guzar ga.ī 'nashtar'
ye mehr-o-māh zamīñ par utārne ke liye
nuqush-e-ahd-e-guzashta ubhaarne ke liye
main khelta hun har ek khel haarne ke liye
tera hasin tasawwur hi kam nahin ai dost
gham-e-hayat ke gesu sanwarne ke liye
sameT le gham-e-kaunain apne daman mein
junun-e-ishq naya rup dhaarne ke liye
tamam-umr meri zindagi rahi betab
sukun ka koi lamha guzarne ke liye
jigar ke zaKHmon pe kya kya guzar gai 'nashtar'
ye mehr-o-mah zamin par utarne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.