aaj koi baat ho gai
aaj koī baat ho ga.ī
vo na aa.e raat ho ga.ī
jab vo mere saath ho ga.e
duniyā mere saath ho ga.ī
jab vo milne aa.e raat ko
merī chāñd-rāt ho ga.ī
mujh se barham aap kyā hue
saarī kā.enāt ho ga.ī
mar ga.e tire marīz-e-ġham
dard se najāt ho ga.ī
ai dil-e-tabāh ġham ye hai
rusvā un kī zaat ho ga.ī
'purnam' aa ga.e vo mere ghar
mutma.in hayāt ho ga.ī
aaj koi baat ho gai
wo na aae raat ho gai
jab wo mere sath ho gae
duniya mere sath ho gai
jab wo milne aae raat ko
meri chand-raat ho gai
mujh se barham aap kya hue
sari kaenat ho gai
mar gae tere mariz-e-gham
dard se najat ho gai
ai dil-e-tabah gham ye hai
ruswa un ki zat ho gai
'purnam' aa gae wo mere ghar
mutmain hayat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.