kahna ghalat ghalat to chhupana sahi sahi
kahnā ġhalat ġhalat to chhupānā sahī sahī
qāsid kahā jo us ne batānā sahī sahī
ye sub.h sub.h chehre kī rangat uḌī huī
kal raat tum kahāñ the batānā sahī sahī
dil le ke merā haath meñ kahte haiñ mujh se vo
kyā loge is kā daam batānā sahī sahī
āñkheñ milāo ġhair se do ham ko jām-e-mai
saaqī tumheñ qasam hai pilānā sahī sahī
ai mai-farosh bhiiḌ hai terī dukān par
gāhak haiñ ham bhī maal dikhānā sahī sahī
'sājid' to jān-o-dil se faqat aap kā hai bas
kyā aap bhī haiñ us ke batānā sahī sahī
kahna ghalat ghalat to chhupana sahi sahi
qasid kaha jo us ne batana sahi sahi
ye subh subh chehre ki rangat uDi hui
kal raat tum kahan the batana sahi sahi
dil le ke mera hath mein kahte hain mujh se wo
kya loge is ka dam batana sahi sahi
aankhen milao ghair se do hum ko jam-e-mai
saqi tumhein qasam hai pilana sahi sahi
ai mai-farosh bhiD hai teri dukan par
gahak hain hum bhi mal dikhana sahi sahi
'sajid' to jaan-o-dil se faqat aap ka hai bas
kya aap bhi hain us ke batana sahi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.