Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mast nazron se allah bachae mah-jamalon se allah bachae

Unknown

mast nazron se allah bachae mah-jamalon se allah bachae

Unknown

MORE BYUnknown

    mast nazroñ se allāh bachā.e mah-jamāloñ se allah bachā.e

    har balā sar pe aa jaa.e merī husn vāloñ se allah bachā.e

    in ma.asūmiyat par na jaanā in ke dhoke meñ hargiz na aanā

    luuT lete haiñ ye muskurā kar in chāloñ se allah bachā.e

    bholī sūrat hai bāteñ haiñ bholī muñh meñ kuchh hai magar dil meñ kuchh hai

    laakh chehrā sahī chāñd jaisā dil ke kāloñ se allah bachā.e

    dil meñ hai ḳhvāhish-e-hūr-o-jannat aur zāhir meñ shauq-e-ibādat

    bas hameñ shaiḳh aap jaise allāh-vāloñ se allah bachā.e

    in fitrat meñ hai bevafā.ī jāntī hai ye saarī ḳhudā.ī

    achchhe-achchhoñ ko dete haiñ dhokā bhole-bhāloñ se allah bachā.e

    mast nazron se allah bachae mah-jamalon se allah bachae

    har bala sar pe aa jae meri husn walon se allah bachae

    in ki masumiyat par na jaana in ke dhoke mein hargiz na aana

    luT lete hain ye muskura kar in ki chaalon se allah bachae

    bholi surat hai baaten hain bholi munh mein kuchh hai magar dil mein kuchh hai

    lakh chehra sahi chand jaisa dil ke kalon se allah bachae

    dil mein hai KHwahish-e-hur-o-jannat aur zahir mein shauq-e-ibaadat

    bas hamein shaiKH ji aap jaise allah-walon se allah bachae

    in ki fitrat mein hai bewafai jaanti hai ye sari KHudai

    achchhe-achchhon ko dete hain dhoka bhole-bhaalon se allah bachae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now