nutq ne chheDi rang ki garmi tabish-e-harf ka haal na puchh
nutq ne chheDi rang ki garmi tabish-e-harf ka haal na puchh
Ghulam Mustafa Daim
MORE BYGhulam Mustafa Daim
nutq ne chheḌī rang kī garmī tābish-e-harf kā haal na pūchh
kaif-e-tamanna kī har aahaT se dil kā janjāl na pūchh
ḳhāl-o-ḳhat-e-anfās kī lahreñ bujh kar sho.ala hotī ga.iiñ
farsh-e-tarāvat par takvīn se uljhā urf-e-ḳhayāl na pūchh
shor-e-alāmat lafz kī kokh se uTh kar tūfāñ-bār huā
tashbīhoñ kī bhiiḌ nigal kar saut ke māh-o-sāl na pūchh
jāma-e-ḳhāk se lipTī añgiyāre kī kirneñ ḳhushk na kar
soz-e-ināyat bhes badal kar niklā is kā taal na pūchh
nutq ne chheDi rang ki garmi tabish-e-harf ka haal na puchh
kaif-e-tamanna ki har aahaT se dil ka janjal na puchh
KHal-o-KHat-e-anfas ki lahren bujh kar shoala hoti gain
farsh-e-tarawat par takwin se uljha urf-e-KHayal na puchh
shor-e-alamat lafz ki kokh se uTh kar tufan-bar hua
tashbihon ki bhiD nigal kar saut ke mah-o-sal na puchh
jama-e-KHak se lipTi angiyare ki kirnen KHushk na kar
soz-e-inayat bhes badal kar nikla is ka tal na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.