nur-e-iman ko baDhao to koi baat bane
nūr-e-īmāñ ko baḌhāo to koī baat bane
apne bātin ko sajāo to koī baat bane
ilm kī sham.a jalā.ī hai bahut logoñ ne
zulmat-e-jahl miTāo to koī baat bane
hāsidoñ ko kabhī ḳhush hone kā mauqa na mile
un ko tum ḳhuub jalāo to koī baat bane
saḳht dushvār hai ye rāh-e-mohabbat kā safar
us pe ḳhud chal ke dikhāo to koī baat bane
dil kisī kā bhī dukhānā nahīñ achchhā hotā
rote logoñ ko hañsāo to koī baat bane
ilm hai jin kā faqat lafz-o-bayāñ tak mahdūd
bā-amal un ko banāo to koī baat bane
husn-e-aḳhlāq kī tāsīr yaqīnī hai 'azīz'
is se dushman ko dabāo to koī baat bane
nur-e-iman ko baDhao to koi baat bane
apne baatin ko sajao to koi baat bane
ilm ki shama jalai hai bahut logon ne
zulmat-e-jahl miTao to koi baat bane
hasidon ko kabhi KHush hone ka mauqa na mile
un ko tum KHub jalao to koi baat bane
saKHt dushwar hai ye rah-e-mohabbat ka safar
us pe KHud chal ke dikhao to koi baat bane
dil kisi ka bhi dukhana nahin achchha hota
rote logon ko hansao to koi baat bane
ilm hai jin ka faqat lafz-o-bayan tak mahdud
ba-amal un ko banao to koi baat bane
husn-e-aKHlaq ki tasir yaqini hai 'aziz'
is se dushman ko dabao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.