nur-e-mah-e-asmani aur hai
nūr-e-māh-e-āsmānī aur hai
dāġh-e-dil kī zau-fishānī aur hai
jab kalī koī khilī aa.ī sadā
chand din kī zindagānī aur hai
surḳh aañsū haiñ ye jām-e-chashm meñ
ye sharāb-e-arġhavānī aur hai
ishq meñ tesha-zanī chaltī nahīñ
kohkan ye pahalvānī aur hai
dair-o-ka.aba ke jahāñ parde nahīñ
vo makān-e-lā-makānī aur hai
ai falak tujh meñ kahāñ thā ye shu.ūr
us sitamgārī kā baanī aur hai
abr-e-bārāñ meñ kahāñ sailāb ye
chashm-e-giryāñ kī ravānī aur hai
zindagī jis se ki ho zer-o-zabar
vo nigāh-e-dil-sitānī aur hai
rāh-e-ulfat meñ jo ho jaa.e shahīd
vo hayāt-e-jāvedānī aur hai
ek haiñ sab kāfir-o-momin yahāñ
mai-kadā kī hukmarānī aur hai
shā.irī se uns-e-nāhaq ho gayā
merā pesha ḳhāndānī aur hai
aur bhī yuuñ to suḳhan-dāñ haiñ bahut
terī 'jauhar' ḳhush-bayānī aur hai
nur-e-mah-e-asmani aur hai
dagh-e-dil ki zau-fishani aur hai
jab kali koi khili aai sada
chand din ki zindagani aur hai
surKH aansu hain ye jam-e-chashm mein
ye sharab-e-arghawani aur hai
ishq mein tesha-zani chalti nahin
kohkan ye pahalwani aur hai
dair-o-kaba ke jahan parde nahin
wo makan-e-la-makani aur hai
ai falak tujh mein kahan tha ye shuur
us sitamgari ka bani aur hai
abr-e-baran mein kahan sailab ye
chashm-e-giryan ki rawani aur hai
zindagi jis se ki ho zer-o-zabar
wo nigah-e-dil-sitani aur hai
rah-e-ulfat mein jo ho jae shahid
wo hayat-e-jawedani aur hai
ek hain sab kafir-o-momin yahan
mai-kada ki hukmarani aur hai
shairi se uns-e-nahaq ho gaya
mera pesha KHandani aur hai
aur bhi yun to suKHan-dan hain bahut
teri 'jauhar' KHush-bayani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.