nur hai raushni ka haala hai
nuur hai raushnī kā haala hai
ishq to ruuh kā ujālā hai
dil meñ utre nihāl kar Daale
ishq kā taur hī nirālā hai
vo to kahtā hai aao samjho tum
dil meñ jis ne giyān Daalā hai
jaal buntī hai nafs kī makḌī
bas utāro ye shar kā jaalā hai
dil kī dargāh meñ jhukā jab sar
ishq kā bol tab se baalā hai
dil ko mahsūs bas huā jaise
ishq ruuī kā narm gaalā hai
zikr un kā hī ruuh meñ utrā
ishq un kā mirā havāla hai
ye sulagtā hai aañch se ġham kī
hijr kā 'shāz' dil pe chhālā hai
nur hai raushni ka haala hai
ishq to ruh ka ujala hai
dil mein utre nihaal kar Dale
ishq ka taur hi nirala hai
wo to kahta hai aao samjho tum
dil mein jis ne giyan Dala hai
jal bunti hai nafs ki makDi
bas utaro ye shar ka jala hai
dil ki dargah mein jhuka jab sar
ishq ka bol tab se baala hai
dil ko mahsus bas hua jaise
ishq rui ka narm gala hai
zikr un ka hi ruh mein utra
ishq un ka mera hawala hai
ye sulagta hai aanch se gham ki
hijr ka 'shaz' dil pe chhaala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.