nur hi nur hai KHayalon mein
nuur hī nuur hai ḳhayāloñ meñ
kaun hai zehn ke ujāloñ meñ
zindagī kyā javāb duuñ tujh ko
tū ne uljhā diyā savāloñ meñ
sub.h kā nuur hai tirā chehra
shaam kā rañg tere bāloñ meñ
apnī gum-gashta manziloñ ke nuqūsh
ham ne DhūñDe haiñ jalte chhāloñ meñ
maiñ ne jo sach thā kah diyā 'zahrā'
DhūñDhiye ab use havāloñ meñ
nur hi nur hai KHayalon mein
kaun hai zehn ke ujalon mein
zindagi kya jawab dun tujh ko
tu ne uljha diya sawalon mein
subh ka nur hai tera chehra
sham ka rang tere baalon mein
apni gum-gashta manzilon ke nuqush
hum ne DhunDe hain jalte chhaalon mein
main ne jo sach tha kah diya 'zahra'
DhunDhiye ab use hawalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.