nur ki barish ho yun dil ki gali mein ek bar
nuur kī bārish ho yuuñ dil kī galī meñ ek baar
kaash Takrā.eñ vo mujh se tīrgī meñ ek baar
haj bhī kar to jazba-e-ishq-o-vafā ke saath kar
ishq bhī haj kī tarah kar zindagī meñ ek baar
phir huā yuuñ us kā ġham mere gale hī paḌ gayā
lag gayā thā vo gale yuuñ hī ḳhushī meñ ek baar
zindagī-bhar ke ġhamoñ meñ ik hī ġham hogā aziim
paidā hotā hai mujaddid ik sadī meñ ek baar
de chukā tark-e-ta.alluq ke ishāre vo mujhe
guftugū meñ bārhā aur ḳhāmoshī meñ ek baar
ham bhī haiñ stage par maujūd lekin ai 'nabīl'
ham ko laayā jā.egā bas raushnī meñ ek baar
nur ki barish ho yun dil ki gali mein ek bar
kash Takraen wo mujh se tirgi mein ek bar
haj bhi kar to jazba-e-ishq-o-wafa ke sath kar
ishq bhi haj ki tarah kar zindagi mein ek bar
phir hua yun us ka gham mere gale hi paD gaya
lag gaya tha wo gale yun hi KHushi mein ek bar
zindagi-bhar ke ghamon mein ek hi gham hoga azim
paida hota hai mujaddid ek sadi mein ek bar
de chuka tark-e-talluq ke ishaare wo mujhe
guftugu mein barha aur KHamoshi mein ek bar
hum bhi hain stage par maujud lekin ai 'nabil'
hum ko laya jaega bas raushni mein ek bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.