nur tha jitna jahan mein sab hunar aankhon ka tha
nur tha jitna jahan mein sab hunar aankhon ka tha
Devang Pratap Singh
MORE BYDevang Pratap Singh
nuur thā jitnā jahāñ meñ sab hunar āñkhoñ kā thā
jo bhī dekhe Duub jaa.e vo asar āñkhoñ kā thā
niiñd mujh ko le ke aa.ī thī tumhāre ḳhvāb tak
aur us ke baa'd to ḳhālī safar āñkhoñ kā thā
mo.ajiza hone se pahle sab kī āñkheñ band thiiñ
chāhte sab dekh lete Dar magar āñkhoñ kā thā
ek chehra thā jo ham chāroñ pahar dekhā kiye
do pahar nīñdoñ ke the aur do pahar āñkhoñ kā thā
ḳhvāb kā dariyā thā bahtā niiñd ke peḌoñ tale
ik safīna husn kā thā aur bhañvar āñkhoñ kā thā
jin ke sapne hī nahīñ the log vo āzād the
jo asīrī meñ rahe un par asar āñkhoñ kā thā
yaar mizhgāñ meñ chhupā rakkhe the maiñ ne ḳhat sabhī
us ne to sab paḌh liyā vo nāma-bar āñkhoñ kā thā
mujh 'musāfir' ko bahut haiñ ḳhvāb kī tārīkiyāñ
shaam hote hī ga.e ghar haañ vo ghar āñkhoñ kā thā
nur tha jitna jahan mein sab hunar aankhon ka tha
jo bhi dekhe Dub jae wo asar aankhon ka tha
nind mujh ko le ke aai thi tumhaare KHwab tak
aur us ke ba'd to KHali safar aankhon ka tha
moajiza hone se pahle sab ki aankhen band thin
chahte sab dekh lete Dar magar aankhon ka tha
ek chehra tha jo hum chaaron pahar dekha kiye
do pahar nindon ke the aur do pahar aankhon ka tha
KHwab ka dariya tha bahta nind ke peDon tale
ek safina husn ka tha aur bhanwar aankhon ka tha
jin ke sapne hi nahin the log wo aazad the
jo asiri mein rahe un par asar aankhon ka tha
yar mizhgan mein chhupa rakkhe the main ne KHat sabhi
us ne to sab paDh liya wo nama-bar aankhon ka tha
mujh 'musafir' ko bahut hain KHwab ki tarikiyan
sham hote hi gae ghar han wo ghar aankhon ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.