o kuchalne wale meri zindagi ki har KHushi
o kuchalne vaale merī zindagī kī har ḳhushī
mere dil se chhīn letā kaash apnī yaad bhī
ho ga.ī āḳhir ko ye me.arāj insāñ dostī
aadmī se dostī kī bhiik māñge aadmī
dost se baḌh kar nibhā.egā koī kyā dushmanī
qadr-e-gauhar shaah dānad yā ba-dānad jauharī
dil pe koī choT lag jaa.e to dil āvāz de
tum abhī vāqif nahīñ hotī hai kyā dil kī lagī
vo sitāra huuñ jo chamkā bhī na ho aur TuuT jaa.e
jis ke dil meñ bujh ga.ī ho hasrat-e-tābindagī
o kuchalne wale meri zindagi ki har KHushi
mere dil se chhin leta kash apni yaad bhi
ho gai aaKHir ko ye mearaj insan dosti
aadmi se dosti ki bhik mange aadmi
dost se baDh kar nibhaega koi kya dushmani
qadr-e-gauhar shah danad ya ba-danad jauhari
dil pe koi choT lag jae to dil aawaz de
tum abhi waqif nahin hoti hai kya dil ki lagi
wo sitara hun jo chamka bhi na ho aur TuT jae
jis ke dil mein bujh gai ho hasrat-e-tabindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.