ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte
ochhī thī nazar hī jab to bhalā armān-e-tamāshā kyā karte
zarre ke jigar tak jā na sake ham himmat-e-sahrā kyā karte
raat us ne naqāb ulTī jo zarā sab band ta.ayyun TuuT ga.e
vo vo na rahā ham ham na rahe ai shauq-e-tamāshā kyā karte
be-kaif hamārā jiinā thā be-mai kā sāġhar piinā thā
us dil meñ tamannā hī na ugī ham tark-e-tamannā kyā karte
tum ne hī chaman ko luuT liyā tum ne hī nasheman phūñk diyā
ham shukr kī himmat kar na sake sharmā ga.e shikva kiyā karte
ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte
zarre ke jigar tak ja na sake hum himmat-e-sahra kya karte
raat us ne naqab ulTi jo zara sab band tayyun TuT gae
wo wo na raha hum hum na rahe ai shauq-e-tamasha kya karte
be-kaif hamara jina tha be-mai ka saghar pina tha
us dil mein tamanna hi na ugi hum tark-e-tamanna kya karte
tum ne hi chaman ko luT liya tum ne hi nasheman phunk diya
hum shukr ki himmat kar na sake sharma gae shikwa kiya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.