oDh kar hadson ne taj mera
oḌh kar hādsoñ ne taaj mirā
zindagī se liyā ḳhirāj mirā
ye ruteñ kyoñ badaltī rahtī haiñ
sirf itnā hī ehtijāj mirā
maiñ to tanhā.iyoñ kī mahfil huuñ
mujh meñ paltā hai ik samāj mirā
karb kī ik lapaT bhī merā vujūd
aur sukūñ-lams bhī mizāj mirā
dukhte lamhoñ pe paTTiyāñ rakh kar
mausamoñ ne kiyā 'ilāj mirā
dūdhiyā sub.h kā hasīñ sūraj
rāsta dekhtā hai aaj mirā
haal kā kyā hai haal to ai 'rind'
kal nahīñ hogā jo hai aaj mirā
oDh kar hadson ne taj mera
zindagi se liya KHiraj mera
ye ruten kyon badalti rahti hain
sirf itna hi ehtijaj mera
main to tanhaiyon ki mahfil hun
mujh mein palta hai ek samaj mera
karb ki ek lapaT bhi mera wujud
aur sukun-lams bhi mizaj mera
dukhte lamhon pe paTTiyan rakh kar
mausamon ne kiya 'ilaj mera
dudhiya subh ka hasin suraj
rasta dekhta hai aaj mera
haal ka kya hai haal to ai 'rind'
kal nahin hoga jo hai aaj mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.