oDh le phir se badan raat ke bazu nikle
oḌh le phir se badan raat ke baazū nikle
ḳhvāb-dar-ḳhvāb kisī ḳhauf kā chāqū nikle
aa.ine par kisī nāḳhun kī ḳharāshoñ kā vahm
aks nochūñ to vahāñ bhī tirā jaadū nikle
terī āvāz kī kirnoñ se tasavvur raushan
phuul nikle ki tire jism kī ḳhushbū nikle
sho.abda-gar tirī āġhosh talak jā pahuñchā
tere pahlū se ka.ī aur bhī pahlū nikle
jashn-e-zindāñ kī rivāyat kā bharam qaa.em hai
jism ne raqs kiyā aañkh se aañsū nikle
oDh le phir se badan raat ke bazu nikle
KHwab-dar-KHwab kisi KHauf ka chaqu nikle
aaine par kisi naKHun ki KHarashon ka wahm
aks nochun to wahan bhi tera jadu nikle
teri aawaz ki kirnon se tasawwur raushan
phul nikle ki tere jism ki KHushbu nikle
shoabda-gar teri aaghosh talak ja pahuncha
tere pahlu se kai aur bhi pahlu nikle
jashn-e-zindan ki riwayat ka bharam qaem hai
jism ne raqs kiya aankh se aansu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.