oDha hai jab se maine tumhaare wajud ko
oḌhā hai jab se maiñ ne tumhāre vajūd ko
ik aag lag ga.ī mere saare vajūd ko
uThtī hai mere jism se tere badan kī lau
lagtā hai chuum leñge sitāre vajūd ko
maiñ ne badan utaar ke gaThḌī meñ rakh diyā
kaise sambhāltā maiñ udhāre vajūd ko
ye ruuh kā safar bhī samundar se kam nahīñ
milte nahīñ haiñ is ke kināre vajūd ko
thā lamha-e-visāl kahīñ jism se pare
ab is jagah se kaun pukāre vajūd ko
ik huuk sī uThī hai tere vasl kī safī'
samjhā.e kaun hijr ke maare vajūd ko
oDha hai jab se main ne tumhaare wajud ko
ek aag lag gai mere sare wajud ko
uThti hai mere jism se tere badan ki lau
lagta hai chum lenge sitare wajud ko
main ne badan utar ke gaThDi mein rakh diya
kaise sambhaalta main udhaare wajud ko
ye ruh ka safar bhi samundar se kam nahin
milte nahin hain is ke kinare wajud ko
tha lamha-e-visal kahin jism se pare
ab is jagah se kaun pukare wajud ko
ek huk si uThi hai tere wasl ki safi'
samjhae kaun hijr ke mare wajud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.