pa-barahna la-talluq be-aman hai zindagi
pa-barahna la-talluq be-aman hai zindagi
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
pā-barahna lā-ta.alluq be-amāñ hai zindagī
dar-ba-dar is shahr meñ girya-kunāñ hai zindagī
ham bhī tere chāhne vāloñ meñ hote haiñ shumār
ham se badbaḳhtoñ pe kyoñ nā-mehrbāñ hai zindagī
ai shab-e-furqat tirā har faisla manzūr hai
aaj tere aur mere darmiyāñ hai zindagī
jis meñ koī jāzbiyyat hai na koī dard hai
ham se nādāroñ kī aisī dāstāñ hai zindagī
tishnagī jis kā muqaddar gumrahī jis kā mizāj
karbalā ke shahr meñ vo kārvāñ hai zindagī
is haqīqat ke sabhī haiñ mo'tarif 'rāhī' miyāñ
aap se vābasta ho to āsmāñ hai zindagī
pa-barahna la-talluq be-aman hai zindagi
dar-ba-dar is shahr mein girya-kunan hai zindagi
hum bhi tere chahne walon mein hote hain shumar
hum se badbaKHton pe kyon na-mehrban hai zindagi
ai shab-e-furqat tera har faisla manzur hai
aaj tere aur mere darmiyan hai zindagi
jis mein koi jazbiyyat hai na koi dard hai
hum se nadaron ki aisi dastan hai zindagi
tishnagi jis ka muqaddar gumrahi jis ka mizaj
karbala ke shahr mein wo karwan hai zindagi
is haqiqat ke sabhi hain mo'tarif 'rahi' miyan
aap se wabasta ho to aasman hai zindagi
- Book : سائبان غزل (Pg. 89)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.