pa kar use khone ke guman se bhi gaya main
pā kar use khone ke gumāñ se bhī gayā maiñ
is baar mohabbat meñ ziyāñ se bhī gayā maiñ
sūkhe hue pattoñ pe phisalte haiñ mire paañv
ai rāhat-e-jāñ raqs-e-ḳhizāñ se bhī gayā maiñ
kartā hai koī aur mire dukh kī shikāyat
ye haal hai ḳhud apnī fuġhāñ se bhī gayā maiñ
be-vaqt namāzoñ kā zamāna bhī guzārā
is 'ahd meñ bar-vaqt azaañ se bhī gayā maiñ
phir us se na milne kī qasam khaa.ī ka.ī baar
har baar magar apnī zabāñ se bhī gayā maiñ
raste meñ achānak vo milā hī nahīñ 'āsim'
guzrā huuñ yahāñ se bhī vahāñ se bhī gayā maiñ
pa kar use khone ke guman se bhi gaya main
is bar mohabbat mein ziyan se bhi gaya main
sukhe hue patton pe phisalte hain mere panw
ai rahat-e-jaan raqs-e-KHizan se bhi gaya main
karta hai koi aur mere dukh ki shikayat
ye haal hai KHud apni fughan se bhi gaya main
be-waqt namazon ka zamana bhi guzara
is 'ahd mein bar-waqt azan se bhi gaya main
phir us se na milne ki qasam khai kai bar
har bar magar apni zaban se bhi gaya main
raste mein achanak wo mila hi nahin 'asim'
guzra hun yahan se bhi wahan se bhi gaya main
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 76)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.