paband-e-hukm-e-girya-e-be-iKHtiyar hun
pāband-e-hukm-e-girya-e-be-iḳhtiyār huuñ
maiñ sail-e-ābshār huuñ abr-e-bahār huuñ
abr-e-bahār huuñ na fazā-e-bahār huuñ
maiñ gard-e-dāman-e-chaman-e-rozgār huuñ
ai bāġhbān-e-gulshan-e-hastī batā mujhe
apnī bahār huuñ ki chaman kī bahār huuñ
haiñ yaañ ke zarre zarre meñ be-tābiyāñ mirī
maiñ jān-e-be-qarār-o-dil-e-be-qarār huuñ
kahtā hai husn-e-yār se husn-e-nigāh-e-misr
chaḌhtī bahār tū maiñ utartī bahār huuñ
ab maiñ kahāñ zamīn-o-fazā-e-vatan kahāñ
'beḳhud' maiñ āñdhiy.oñ kā uḌāyā ġhubār huuñ
paband-e-hukm-e-girya-e-be-iKHtiyar hun
main sail-e-abshaar hun abr-e-bahaar hun
abr-e-bahaar hun na faza-e-bahaar hun
main gard-e-daman-e-chaman-e-rozgar hun
ai baghban-e-gulshan-e-hasti bata mujhe
apni bahaar hun ki chaman ki bahaar hun
hain yan ke zarre zarre mein be-tabiyan meri
main jaan-e-be-qarar-o-dil-e-be-qarar hun
kahta hai husn-e-yar se husn-e-nigah-e-misr
chaDhti bahaar tu main utarti bahaar hun
ab main kahan zamin-o-faza-e-watan kahan
'beKHud' main aandhiyon ka uDaya ghubar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.