Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paband har jafa pe tumhaari wafa ke hain

Abdullla Khan Mehr Lakhnavi

paband har jafa pe tumhaari wafa ke hain

Abdullla Khan Mehr Lakhnavi

MORE BYAbdullla Khan Mehr Lakhnavi

    pāband har jafā pe tumhārī vafā ke haiñ

    rahm ai buto ki ham bhī to bande ḳhudā ke haiñ

    gulchīñ bahār-e-gul meñ na kar man.a sair-e-bāġh

    kyā ham ġhubār dāman-e-bād-e-sabā ke haiñ

    ye sāda-rū jo saaf nahīñ rahte shām-e-vasl

    āshiq ġhubār dāman-e-sub.h-e-ḳhafā ke haiñ

    jis ko yaqīñ baqā ho vaa.iz tirī sune

    ham log mast bāda-e-jām-e-fanā ke haiñ

    ai 'mehr' tab-e-barq ne betāb dil kiyā

    mazmūñ chamak-damak ke qavāfī balā ke haiñ

    paband har jafa pe tumhaari wafa ke hain

    rahm ai buto ki hum bhi to bande KHuda ke hain

    gulchin bahaar-e-gul mein na kar mana sair-e-bagh

    kya hum ghubar daman-e-baad-e-saba ke hain

    ye sada-ru jo saf nahin rahte sham-e-wasl

    aashiq ghubar daman-e-subh-e-KHafa ke hain

    jis ko yaqin baqa ka ho waiz teri sune

    hum log mast baada-e-jam-e-fana ke hain

    ai 'mehr' tab-e-barq ne betab dil kiya

    mazmun chamak-damak ke qawafi bala ke hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now