pabandi-e-auqat-e-dua kis ke liye hai
pābandi-e-auqāt-e-duā kis ke liye hai
rātoñ kī ibādat kā sila kis ke liye hai
haiñ kis ke liye madh-bharī āñkhoñ ke ishāre
gulnār se hoñToñ kī fazā kis ke liye hai
ham log duā deñge tirī zulf-e-siyah ko
mālūm ho ye shahr-e-sabā kis ke liye hai
kyā naam hai us shaḳhs-e-javāñ-baḳht kā ai dost
ḳhalvat kī ye dhīmī sī sadā kis ke liye hai
ḳhvāboñ ke tarab-zār meñ ye kaun milā thā
tanhā.ī meñ tū naġhma-sarā kis ke liye hai
ārā.ish-o-taz.īñ kā ḳhayāl aayā hai kab se
hāthoñ pe ye tahrīr-e-hinā kis ke liye hai
kaun aa.egā ḳhvāboñ ke dhuñdlakoñ se tire paas
āñkhoñ meñ ye paiġhām-e-vafā kis ke liye hai
ai parda-nashīñ sharm-o-hayā ḳhuub hai lekin
āḳhir vo tirī shoḳh adā kis ke liye hai
itnā to batā de tire ma.asūm se dil meñ
ye mahshar-e-jazbāt bapā kis ke liye hai
pabandi-e-auqat-e-dua kis ke liye hai
raaton ki ibaadat ka sila kis ke liye hai
hain kis ke liye madh-bhari aankhon ke ishaare
gulnar se honTon ki faza kis ke liye hai
hum log dua denge teri zulf-e-siyah ko
malum ho ye shahr-e-saba kis ke liye hai
kya nam hai us shaKHs-e-jawan-baKHt ka ai dost
KHalwat ki ye dhimi si sada kis ke liye hai
KHwabon ke tarab-zar mein ye kaun mila tha
tanhai mein tu naghma-sara kis ke liye hai
aaraish-o-tazin ka KHayal aaya hai kab se
hathon pe ye tahrir-e-hina kis ke liye hai
kaun aaega KHwabon ke dhundlakon se tere pas
aankhon mein ye paigham-e-wafa kis ke liye hai
ai parda-nashin sharm-o-haya KHub hai lekin
aaKHir wo teri shoKH ada kis ke liye hai
itna to bata de tere masum se dil mein
ye mahshar-e-jazbaat bapa kis ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.