pabandi-e-hudud se begana chahiye
pābandī-e-hudūd se begāna chāhiye
dāmāñ ba-qadr-e-vahshat-e-dīvāna chāhiye
hotā hai faash girya-e-paiham se rāz-e-ishq
ai sham.a rāz-dārī-e-parvāna chāhiye
zauq-e-ubūdiyat hai ta.ayyun se be-niyāz
ham-sūrat-e-jabīñ dar-e-jānāna chāhiye
bazm-e-niyāz-e-ishq meñ huuñ āshnā-e-hosh
be-parda aaj phir ruḳh-e-jānāna chāhiye
ai zauq-e-ijz jalva-gah-e-yār hai qarīb
pā-e-talab meñ laġhzish-e-mastāna chāhiye
'tābish' ġham-e-hayāt hī vaj.h-e-nashāt hai
har ek daaġh sūrat-e-paimāna chāhiye
pabandi-e-hudud se begana chahiye
daman ba-qadr-e-wahshat-e-diwana chahiye
hota hai fash girya-e-paiham se raaz-e-ishq
ai shama raaz-dari-e-parwana chahiye
zauq-e-ubudiyat hai tayyun se be-niyaz
ham-surat-e-jabin dar-e-jaanana chahiye
bazm-e-niyaz-e-ishq mein hun aashna-e-hosh
be-parda aaj phir ruKH-e-jaanana chahiye
ai zauq-e-ijz jalwa-gah-e-yar hai qarib
pa-e-talab mein laghzish-e-mastana chahiye
'tabish' gham-e-hayat hi wajh-e-nashat hai
har ek dagh surat-e-paimana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.