pabandiyan hain mere hi izhaar par
pābandiyāñ haiñ mere hī iz.hār par
zāġh-o-zaġhan kā shor hai murdār par
tāsīr hai kis ke lahū ko dekhiye
sabza ugā hai āhanī talvār par
dilkash hasīñ poshāk ho yā jism ho
markūz hai merī nazar bāzār par
mere liye koī ḳhabar aatī nahīñ
aur sāmne aḳhbār hai aḳhbār par
mausam ajab hālāt se do-chār hai
bādal nahīñ taa.ir nahīñ ashjār par
dil se jigar se ḳhuun se vāqif kiyā
ehsān hai amrāz kā bīmār par
ye shahr hai yā koī zindāñ kyā kaheñ
'shāhid' yahāñ dīvār hai dīvār par
pabandiyan hain mere hi izhaar par
zagh-o-zaghan ka shor hai murdar par
tasir hai kis ke lahu ko dekhiye
sabza uga hai aahani talwar par
dilkash hasin poshak ho ya jism ho
markuz hai meri nazar bazar par
mere liye koi KHabar aati nahin
aur samne aKHbar hai aKHbar par
mausam ajab haalat se do-chaar hai
baadal nahin tair nahin ashjar par
dil se jigar se KHun se waqif kiya
ehsan hai amraaz ka bimar par
ye shahr hai ya koi zindan kya kahen
'shahid' yahan diwar hai diwar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.