pagal hun puri ki puri jhakki hun
pāgal huuñ puurī kī puurī jhakkī huuñ
is se baḌh kar kyā batlā.ūñ kaisī huuñ
terī ḳhātir kyā kyā sochā thā maiñ ne
terī ḳhātir kyā kyā sochā kartī huuñ
raas aatā hai guḌiyoñ kā ye khel mujhe
andar se shāyad maiñ ab bhī bachchī huuñ
behtar hogā apnī anā par qaabū rakh
varna maiñ bhī apnī zid kī pakkī huuñ
aisā lagtā hai mujh ko pī jā.egā
ye jo gahre paanī se maiñ Dartī huuñ
jab bhī mujh ko ḳhvāb safar kā aatā hai
uTh kar phir maiñ niiñd meñ chalne lagtī huuñ
ek dhueñ kā chhallā terī cigarette kā
maiñ apnī uñglī meñ pahnā rakhtī huuñ
pagal hun puri ki puri jhakki hun
is se baDh kar kya batlaun kaisi hun
teri KHatir kya kya socha tha main ne
teri KHatir kya kya socha karti hun
ras aata hai guDiyon ka ye khel mujhe
andar se shayad main ab bhi bachchi hun
behtar hoga apni ana par qabu rakh
warna main bhi apni zid ki pakki hun
aisa lagta hai mujh ko pi jaega
ye jo gahre pani se main Darti hun
jab bhi mujh ko KHwab safar ka aata hai
uTh kar phir main nind mein chalne lagti hun
ek dhuen ka chhalla teri cigarette ka
main apni ungli mein pahna rakhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.