Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pagal hun puri ki puri jhakki hun

Pragya Sharma

pagal hun puri ki puri jhakki hun

Pragya Sharma

MORE BYPragya Sharma

    pāgal huuñ puurī puurī jhakkī huuñ

    is se baḌh kar kyā batlā.ūñ kaisī huuñ

    ek dhueñ chhallā terī cigarette

    maiñ apnī uñglī meñ pahne rakhtī huuñ

    terī ḳhātir kyā kyā sochā thā maiñ ne

    terī ḳhātir kyā kyā sochā kartī huuñ

    behtar hogā apnī anā par qaabū rakh

    varna maiñ bhī apnī zid pakkī huuñ

    aisā lagtā hai mujh ko jā.egā

    ye jo gahre paanī se maiñ Dartī huuñ

    jab bhī mujh ko ḳhvāb safar aatā hai

    uTh kar phir maiñ niiñd meñ chalne lagtī huuñ

    pagal hun puri ki puri jhakki hun

    is se baDh kar kya batlaun kaisi hun

    ek dhuen ka chhalla teri cigarette ka

    main apni ungli mein pahne rakhti hun

    teri KHatir kya kya socha tha main ne

    teri KHatir kya kya socha karti hun

    behtar hoga apni ana par qabu rakh

    warna main bhi apni zid ki pakki hun

    aisa lagta hai mujh ko pi jaega

    ye jo gahre pani se main Darti hun

    jab bhi mujh ko KHwab safar ka aata hai

    uTh kar phir main nind mein chalne lagti hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now