pagal ko hua sang se ye pyar magar kyon
pāgal ko huā sang se ye pyaar magar kyoñ
is daur meñ jiine se hai inkār magar kyoñ
ai ishq tire hone se inkār nahīñ hai
achchhā nahīñ hotā tirā bīmār magar kyoñ
har ahd meñ rakkhā hai bharam ham ne vafā kā
kahtā hai zamāna hameñ ġhaddār magar kyoñ
maiñ sochtā rahtā huuñ isī baab meñ yaaro
rone lagā jang jiit ke sardār magar kyoñ
kahte ho sharāfat kā zamāna hī nahīñ hai
biktī hai sharāfat sar-e-bāzār magar kyoñ
pagal ko hua sang se ye pyar magar kyon
is daur mein jine se hai inkar magar kyon
ai ishq tere hone se inkar nahin hai
achchha nahin hota tera bimar magar kyon
har ahd mein rakkha hai bharam hum ne wafa ka
kahta hai zamana hamein ghaddar magar kyon
main sochta rahta hun isi bab mein yaro
rone laga jang jit ke sardar magar kyon
kahte ho sharafat ka zamana hi nahin hai
bikti hai sharafat sar-e-bazar magar kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.