pāgal-pan kī had kar dūñgī
tum ko aise radd kar dūñgī
apnā dil jab bhī maiñ chāhūñ
bad-ḳhvāhoñ se bad kar dūñgī
aañkh kī bāteñ jhuTlā.ūñgī
kahnā dil kā sanad kar dūñgī
ātish-e-ishq meñ jal kar ḳhud ko
raushan tā-ba-abad kar dūñgī
duniyā muḳhālif hone se pahle
maiñ duniyā ko radd kar dūñgī
panjoñ ke bal ho ke 'duā' maiñ
ūñchā terā qad kar dūñgī
pagal-pan ki had kar dungi
tum ko aise radd kar dungi
apna dil jab bhi main chahun
bad-KHwahon se bad kar dungi
aankh ki baaten jhuTlaungi
kahna dil ka sanad kar dungi
aatish-e-ishq mein jal kar KHud ko
raushan ta-ba-abad kar dungi
duniya muKHalif hone se pahle
main duniya ko radd kar dungi
panjon ke bal ho ke 'dua' main
uncha tera qad kar dungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.