pagal ziddi aur diwana kaun kahe
pāgal ziddī aur dīvāna kaun kahe
tere bin merā afsāna kaun kahe
yuuñ kitne hī mujh ko apnā kahte haiñ
par mujh ko jānā-pahchānā kaun kahe
āñkhoñ āñkhoñ jis kī sūrat rahtī haiñ
us ko lafzoñ meñ batlānā kaun kahe
yaad meñ jis kī āñkheñ jharne ho baiThīñ
us bādal kā ghar aa jaanā kaun kahe
āñkheñ mūñdūñ khul khul jaa.eñ phir sapnā
us ziddī kā haq jatlānā kaun kahe
'tapish' tumheñ maqte meñ laanā mushkil hai
bārish meñ jazbe sulgānā kaun kahe
pagal ziddi aur diwana kaun kahe
tere bin mera afsana kaun kahe
yun kitne hi mujh ko apna kahte hain
par mujh ko jaana-pahchana kaun kahe
aankhon aankhon jis ki surat rahti hain
us ko lafzon mein batlana kaun kahe
yaad mein jis ki aankhen jharne ho baiThin
us baadal ka ghar aa jaana kaun kahe
aankhen mundun khul khul jaen phir sapna
us ziddi ka haq jatlana kaun kahe
'tapish' tumhein maqte mein lana mushkil hai
barish mein jazbe sulgana kaun kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.