pai hai wo milkiyat jis mein mila kuchh bhi nahin
paa.ī hai vo milkiyat jis meñ milā kuchh bhī nahīñ
sar pe saarā āsmāñ aur zer-e-pā kuchh bhī nahīñ
asl apnā khojtā phirtā hai aadam umr bhar
zindagī ḳhud ke ta.āqub ke sivā kuchh bhī nahīñ
ab palaT kar pūchhte ho raah meñ kyā kyā huā
ham siyah-baḳhtoñ ko kyā hogā bhalā kuchh bhī nahīñ
āshiqī par qaul karte aa rahe haiñ chand log
log vo jin ke liye mehr-o-vafā kuchh bhī nahīñ
roz kitne hī sitāre TimTimā kar bujh ga.e
yuuñ qazā kā ġham na kar ye sāneha kuchh bhī nahīñ
hāsil-e-ulfat jo pūchho to haiñ mere do javāb
ek to saarī ḳhudā.ī dūsrā kuchh bhī nahīñ
phir havā kā ruḳh palaTne ko hai un kī ḳhair ho
jin charāġhoñ se hamārā rābta kuchh bhī nahīñ
kis qadar dushvār thā gaḌhnā koī duniyā jidhar
ibtidā kuchh bhī nahīñ aur intihā kuchh bhī nahīñ
ek sāhab 'mīr' janme tis pe ik ġhālib hue
phir ġhazal-goī meñ karne ko nayā kuchh bhī nahīñ
pai hai wo milkiyat jis mein mila kuchh bhi nahin
sar pe sara aasman aur zer-e-pa kuchh bhi nahin
asl apna khojta phirta hai aadam umr bhar
zindagi KHud ke taaqub ke siwa kuchh bhi nahin
ab palaT kar puchhte ho rah mein kya kya hua
hum siyah-baKHton ko kya hoga bhala kuchh bhi nahin
aashiqi par qaul karte aa rahe hain chand log
log wo jin ke liye mehr-o-wafa kuchh bhi nahin
roz kitne hi sitare TimTima kar bujh gae
yun qaza ka gham na kar ye saneha kuchh bhi nahin
hasil-e-ulfat jo puchho to hain mere do jawab
ek to sari KHudai dusra kuchh bhi nahin
phir hawa ka ruKH palaTne ko hai un ki KHair ho
jin charaghon se hamara rabta kuchh bhi nahin
kis qadar dushwar tha gaDhna koi duniya jidhar
ibtida kuchh bhi nahin aur intiha kuchh bhi nahin
ek sahab 'mir' janme tis pe ek ghaalib hue
phir ghazal-goi mein karne ko naya kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.