painda husn-o-zinat-e-bagh-e-jahan nahin
pā.inda husn-o-zīnat-e-bāġh-e-jahāñ nahīñ
vo kaun sī bahār hai jis ko ḳhizāñ nahīñ
vāqif vo mere haal se maiñ un ke haal se
sharm-o-hayā se guftugū go darmiyāñ nahīñ
us kī nigāh phirte hī sab ham se phir ga.e
vo mehrbāñ nahīñ to koī mehrbāñ nahīñ
ai bāda-nosh piitā hai ḳhalvat meñ chhup ke tū
vo kaun sī jagah hai batā vo jahāñ nahīñ
ulfat kā ye asar hai ki rag rag meñ Tiis hai
maiñ kyā batā.ūñ dard kahāñ hai kahāñ nahīñ
duniyā ho bad-gumān nahīñ is kā ġham mujhe
ai dil hazār shukr ki vo bad-gumāñ nahīñ
painda husn-o-zinat-e-bagh-e-jahan nahin
wo kaun si bahaar hai jis ko KHizan nahin
waqif wo mere haal se main un ke haal se
sharm-o-haya se guftugu go darmiyan nahin
us ki nigah phirte hi sab hum se phir gae
wo mehrban nahin to koi mehrban nahin
ai baada-nosh pita hai KHalwat mein chhup ke tu
wo kaun si jagah hai bata wo jahan nahin
ulfat ka ye asar hai ki rag rag mein Tis hai
main kya bataun dard kahan hai kahan nahin
duniya ho bad-guman nahin is ka gham mujhe
ai dil hazar shukr ki wo bad-guman nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.