pak hai lazzat-e-ishrat se zaban-e-waiz
paak hai lazzat-e-ishrat se zabān-e-vā.iz
jo balā aa.e ilāhī so ba-jān-e-vā.iz
ham-nafas bāġh-e-jināñ ghar hai gunahgāroñ kā
DhūñDh dozaḳh meñ kahīñ jā ke makān-e-vā.iz
ḳhidmat-e-rind qadah-nosh meñ ye be-adabī
jī meñ hai kāTiye dāñtoñ se zabān-e-vā.iz
ḳhud-farāmosh hai kyā aur ko samjhā.egā
rāst-bāzoñ se kajī par hai gumān-e-vā.iz
kyuuñ na ho tīr-e-ishārāt se aalam majrūh
qadd-e-ḳham-gashta hai goyā ki kamān-e-vā.iz
pak hai lazzat-e-ishrat se zaban-e-waiz
jo bala aae ilahi so ba-jaan-e-waiz
ham-nafas bagh-e-jinan ghar hai gunahgaron ka
DhunDh dozaKH mein kahin ja ke makan-e-waiz
KHidmat-e-rind qadah-nosh mein ye be-adabi
ji mein hai kaTiye danton se zaban-e-waiz
KHud-faramosh hai kya aur ko samjhaega
rast-bazon se kaji par hai guman-e-waiz
kyun na ho tir-e-ishaaraat se aalam majruh
qadd-e-KHam-gashta hai goya ki kaman-e-waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.