pala umid-o-bim se nagah paD gaya
paalā umīd-o-bīm se nāgāh paḌ gayā
dil kā banā banāyā gharauñdā ujaḌ gayā
ulTī thī mat zamāna-e-murda-parast kī
maiñ ek hoshyār ki zinda hī gaḌ gayā
sharbat kā ghūñT jaan ke piitā huuñ ḳhūn-e-dil
ġham khāte khāte muñh kā maza hī bigaḌ gayā
aise ke paañv chūmiye yā pyaar kījiye
qadmoñ pe maiñ jhukā to vo duunā akaḌ gayā
donoñ ke dil se pūchhiye anjām-e-kār-e-ishq
sil ghiste ghiste ghis ga.ī baTTā ragaḌ gayā
khīñchī jo sidq-e-dil se asīroñ ne āh-e-sard
phir kyā thā paañv bād-e-ḳhizāñ kā ukhaḌ gayā
allāh-rī kashākash-e-dair-o-haram ki 'yās'
hairat ke maare biich dorāhe pe gaḌ gayā
pala umid-o-bim se nagah paD gaya
dil ka bana banaya gharaunda ujaD gaya
ulTi thi mat zamana-e-murda-parast ki
main ek hoshyar ki zinda hi gaD gaya
sharbat ka ghunT jaan ke pita hun KHun-e-dil
gham khate khate munh ka maza hi bigaD gaya
aise ke panw chumiye ya pyar kijiye
qadmon pe main jhuka to wo duna akaD gaya
donon ke dil se puchhiye anjam-e-kar-e-ishq
sil ghiste ghiste ghis gai baTTa ragaD gaya
khinchi jo sidq-e-dil se asiron ne aah-e-sard
phir kya tha panw baad-e-KHizan ka ukhaD gaya
allah-ri kashakash-e-dair-o-haram ki 'yas'
hairat ke mare bich dorahe pe gaD gaya
- Book : غزل اس نے چھیڑی--5 (Pg. 83)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.