pani ko KHun KHun ko pani likhega kaun
paanī ko ḳhuun ḳhuun ko paanī likhegā kaun
jab tum nahīñ kabīr kī baanī likhegā kaun
bachpan kī man-pasand kahānī likhegā kaun
raaja thā ek ek thī raanī likhegā kaun
yaktā huuñ apne fan meñ magar ai mirī ġhazal
har sher meñ hai kaisī ravānī likhegā kaun
murjhā chuke haiñ chehroñ ke mānind lafz bhī
'sīmā' jī ab shagufta kahānī likhegā kaun
pani ko KHun KHun ko pani likhega kaun
jab tum nahin kabir ki bani likhega kaun
bachpan ki man-pasand kahani likhega kaun
raja tha ek ek thi rani likhega kaun
yakta hun apne fan mein magar ai meri ghazal
har sher mein hai kaisi rawani likhega kaun
murjha chuke hain chehron ke manind lafz bhi
'sima' ji ab shagufta kahani likhega kaun
- Book : Aiwan (Pg. 60)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.