paniyon mein rasta shoalon mein ghar dekhega kaun
pāniyoñ meñ rāsta sho.aloñ meñ ghar dekhegā kaun
ai gumān-e-ḳhush-nazar ab ke udhar dekhegā kaun
chashm-e-pur-nam soz-e-dil apnī jagah lekin yahāñ
mausam-e-sar-sabz meñ raqs-e-sharar dekhegā kaun
is sadī se us sadī tak rishte-nāte dostī
pīchhe kyā kyā rah gayā hai lauT kar dekhegā kaun
dirham-o-dīnār haiñ in.aam hijrat kā magar
ghar se gar sab hī chale jaa.eñ to ghar dekhegā kaun
paniyon mein rasta shoalon mein ghar dekhega kaun
ai guman-e-KHush-nazar ab ke udhar dekhega kaun
chashm-e-pur-nam soz-e-dil apni jagah lekin yahan
mausam-e-sar-sabz mein raqs-e-sharar dekhega kaun
is sadi se us sadi tak rishte-nate dosti
pichhe kya kya rah gaya hai lauT kar dekhega kaun
dirham-o-dinar hain inam hijrat ka magar
ghar se gar sab hi chale jaen to ghar dekhega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.