panw chhu lene do phulon ko inayat hogi
paañv chhū lene do phūloñ ko ināyat hogī
varna ham ko nahīñ un ko bhī shikāyat hogī
aap jo phuul bichhā.eñ unheñ ham Thukrā.eñ
ham ko Dar hai ki ye tauhīn-e-mohabbat hogī
dil kī bechain umañgoñ pe karam farmāo
itnā ruk ruk ke chalogī to qayāmat hogī
sharm roke hai udhar shauq idhar khīñche hai
kyā ḳhabar thī kabhī is dil kī ye hālat hogī
sharm ġhairoñ se huā kartī hai apno se nahīñ
sharm ham se bhī karoge to musībat hogī musībat hogī
panw chhu lene do phulon ko inayat hogi
warna hum ko nahin un ko bhi shikayat hogi
aap jo phul bichhaen unhen hum Thukraen
hum ko Dar hai ki ye tauhin-e-mohabbat hogi
dil ki bechain umangon pe karam farmao
itna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogi
sharm roke hai udhar shauq idhar khinche hai
kya KHabar thi kabhi is dil ki ye haalat hogi
sharm ghairon se hua karti hai apno se nahin
sharm hum se bhi karoge to musibat hogi musibat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.