panw dekhegi na taKHir ka dukh samjhegi
paañv dekhegī na tāḳhīr kā dukh samjhegī
kaise manzil kisī rah-gīr kā dukh samjhegī
kab samā.at pe koī harf-e-sadā utregā
kab vo dastak mirī zanjīr kā dukh samjhegī
aks kar dūñgā maiñ dīvār par apnā chehra
aur duniyā ise tasvīr kā dukh samjhegī
hañste hañste hī sunegī vo mirī ġhazloñ ko
phir mire dard ko bhī miir kā dukh samjhegī
kaise aurāq batā.eñge kahānī merī
diary kyuuñ mirī tahrīr kā dukh samjhegī
maiñ virāsat meñ milā tāj-mahal huuñ us ko
mujh ko hāregī to tasḳhīr kā dukh samjhegī
mujh ko bhūlī hai jo shohrat ko asāsa jaane
ḳhud se bichhḌegī to tash.hīr kā dukh samjhegī
panw dekhegi na taKHir ka dukh samjhegi
kaise manzil kisi rah-gir ka dukh samjhegi
kab samaat pe koi harf-e-sada utrega
kab wo dastak meri zanjir ka dukh samjhegi
aks kar dunga main diwar par apna chehra
aur duniya ise taswir ka dukh samjhegi
hanste hanste hi sunegi wo meri ghazlon ko
phir mere dard ko bhi mir ka dukh samjhegi
kaise auraq bataenge kahani meri
diary kyun meri tahrir ka dukh samjhegi
main wirasat mein mila taj-mahal hun us ko
mujh ko haaregi to tasKHir ka dukh samjhegi
mujh ko bhuli hai jo shohrat ko asasa jaane
KHud se bichhDegi to tashhir ka dukh samjhegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.