panw jamte nahin hain kai par
paañv jamte nahīñ haiñ kaa.ī par
tuf hai aisī kisī rasā.ī par
ek bosīda shahr haath lagā
ik na.e shahr kī khudā.ī par
kaisī nāzuk-mizāj laḌkī thī
chūḌiyāñ bojh thiiñ kalā.ī par
ghar na taqsīm kar mire bhaa.ī
terā ehsān hogā bhaa.ī par
aise hālāt haiñ ki merā baap
mo'tariz hai mirī paḌhā.ī par
maiñ ḳhudā par yaqīn rakhtā huuñ
terā īmān hai ḳhudā.ī par
kār-ḳhāne se chhuTTīyāñ lūñgā
gaañv meñ fasl kī kaTā.ī par
panw jamte nahin hain kai par
tuf hai aisi kisi rasai par
ek bosida shahr hath laga
ek nae shahr ki khudai par
kaisi nazuk-mizaj laDki thi
chuDiyan bojh thin kalai par
ghar na taqsim kar mere bhai
tera ehsan hoga bhai par
aise haalat hain ki mera bap
mo'tariz hai meri paDhai par
main KHuda par yaqin rakhta hun
tera iman hai KHudai par
kar-KHane se chhuTTiyan lunga
ganw mein fasl ki kaTai par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.