panw ke chhaalon ki qimat jaanta hai buDha peD
panw ke chhaalon ki qimat jaanta hai buDha peD
Ashutosh Mishra Azal
MORE BYAshutosh Mishra Azal
paañv ke chhāloñ kī qīmat jāntā hai būḌhā peḌ
ik musāfir kī musībat jāntā hai būḌhā peḌ
bojh lāshoñ kā uThānā hai use to aur abhī
jo kisānoñ kī hai hālat jāntā hai būḌhā peḌ
gar jaḌeñ mazbūt ho to āñdhiyoñ kā ḳhauf kyā
rakhnī hai miTTī se nisbat jāntā hai būḌhā peḌ
vo badalte mausamoñ se bhī kabhī haarā nahīñ
dukh se hī hai sukh kī lazzat jāntā hai būḌhā peḌ
dekhtā hai jab gale kaTte hue ahbāb ke
aane vaalī hai qayāmat jāntā hai būḌhā peḌ
phūñkte ham jā rahe haiñ ghar hamārā aap hī
peḌ haiñ dhartī kī daulat jāntā hai būḌhā peḌ
panw ke chhaalon ki qimat jaanta hai buDha peD
ek musafir ki musibat jaanta hai buDha peD
bojh lashon ka uThana hai use to aur abhi
jo kisanon ki hai haalat jaanta hai buDha peD
gar jaDen mazbut ho to aandhiyon ka KHauf kya
rakhni hai miTTi se nisbat jaanta hai buDha peD
wo badalte mausamon se bhi kabhi haara nahin
dukh se hi hai sukh ki lazzat jaanta hai buDha peD
dekhta hai jab gale kaTte hue ahbab ke
aane wali hai qayamat jaanta hai buDha peD
phunkte hum ja rahe hain ghar hamara aap hi
peD hain dharti ki daulat jaanta hai buDha peD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.