panw kisi shor mein na shar mein khule
paañv kisī shor meñ na shar meñ khule
nā'ra-e-zanjīr kī zabar meñ khule
haath parinde jo phaḌphaḌā.e bahut
talḳh-kalāmi-e-ḳhushk-o-tar meñ khule
niiñd ke jangal the ḳhvāb-gāh meñ gum
dasht se lipTe hue nagar meñ khule
dil to kisī mustaqar kī mauj meñ thā
daaġh magar dāman-e-safar meñ khule
māthā sajā.ūñ sajīle paat se maiñ
tāb-e-sitāra jo barg-e-tar meñ khule
jism laboñ tak bahut rasīd huā
shāḳhchoñ ke zā.iqe samar meñ khule
chiTThī barā.e faroġh-e-rang samajh
muTThī agar dastak-e-sahar meñ khule
panw kisi shor mein na shar mein khule
na'ra-e-zanjir ki zabar mein khule
hath parinde jo phaDphaDae bahut
talKH-kalami-e-KHushk-o-tar mein khule
nind ke jangal the KHwab-gah mein gum
dasht se lipTe hue nagar mein khule
dil to kisi mustaqar ki mauj mein tha
dagh magar daman-e-safar mein khule
matha sajaun sajile pat se main
tab-e-sitara jo barg-e-tar mein khule
jism labon tak bahut rasid hua
shaKHchon ke zaiqe samar mein khule
chiTThi barae farogh-e-rang samajh
muTThi agar dastak-e-sahar mein khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.