panw mein KHushbu ke zanjir banai jae
paañv meñ ḳhushbū ke zanjīr banā.ī jaa.e
aaj sochā terī tasvīr banā.ī jaa.e
apnī marzī se chale aa.eñ divāne saare
ho kashish jis meñ vo zanjīr banā.ī jaa.e
bin kahe baat samajh le tū merī maiñ terī
chal mohabbat meñ vo tāsīr banā.ī jaa.e
qāfile pyaas ke guzreñge isī raste se
sahrā meñ paanī kī tahrīr banā.ī jaa.e
ḳhvāb to dekh liye tū ne bahut se 'jyotī'
vaqt aayā hai kī ta.abīr banā.ī jaa.e
panw mein KHushbu ke zanjir banai jae
aaj socha teri taswir banai jae
apni marzi se chale aaen diwane sare
ho kashish jis mein wo zanjir banai jae
bin kahe baat samajh le tu meri main teri
chal mohabbat mein wo tasir banai jae
qafile pyas ke guzrenge isi raste se
sahra mein pani ki tahrir banai jae
KHwab to dekh liye tu ne bahut se 'jyoti'
waqt aaya hai ki tabir banai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.