panw mera phir paDa hai dasht mein
paañv merā phir paḌā hai dasht meñ
vo hī āvāra havā hai dasht meñ
ab mirī tanhā.ī kam ho jā.egī
ik bagūla mil gayā hai dasht meñ
bastiyoñ se bhī ziyāda shor hai
kaun itnā chīḳhtā hai dasht meñ
kis tarah ḳhud ko bachā.egā koī
ek nādīda balā hai dasht meñ
ḳhaak aur kuchh zard pattoñ ke sivā
tujh ko 'āzar' kyā milā hai dasht meñ
panw mera phir paDa hai dasht mein
wo hi aawara hawa hai dasht mein
ab meri tanhai kam ho jaegi
ek bagula mil gaya hai dasht mein
bastiyon se bhi ziyaada shor hai
kaun itna chiKHta hai dasht mein
kis tarah KHud ko bachaega koi
ek nadida bala hai dasht mein
KHak aur kuchh zard patton ke siwa
tujh ko 'azar' kya mila hai dasht mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.