panw phailati hain wo ta-sar-e-daman kya kya
panw phailati hain wo ta-sar-e-daman kya kya
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
paañv phailātī haiñ vo tā-sar-e-dāmāñ kyā kyā
naaz karte haiñ mire chāk-e-garebāñ kyā kyā
yād-e-dandāñ meñ tumhāre jo hayā se royā
ashk ne muñh ko chhupāyā tah-e-dāmāñ kyā kyā
dāman-e-dasht meñ sau baar vatan se mujh ko
khīñch laa.ī kashish-e-ḳhār-e-bayābāñ kyā kyā
ġhuncha-e-dil se tah-e-ḳhanjar-e-burrāñ qātil
bū-e-gul ban ke nikal jā.eñge armāñ kyā kyā
lutf uThne nahīñ detā hai ham-āġhoshī kā
ho shab-e-vasl meñ ḳhauf-e-shab-e-hijrāñ kyā kyā
shādī-e-qatl se thā shauq-e-tabassum mujh ko
sūrat-e-zaḳhm tah-e-ḳhanjar-e-burrāñ kyā kyā
na khulā uqda-e-gesū-e-sanam vaa.e nasīb
dast-e-tadbīr thake ho ke pashemāñ kyā kyā
naaz se ḳhanjar-e-qātil kī tarah maqtal meñ
merī gardan se lipaTtā hai garebāñ kyā kyā
roz ghaT jaatā hai kuchh himmat-e-mumsik kī tarah
tang kartā hai mujhe gosha-e-zindāñ kyā kyā
koī dariyā inheñ kahtā hai koī bārish-e-abr
dhoke dete haiñ mire dīda-e-giryāñ kyā kyā
roza-dārān-e-mohabbat se hayā kartī hai
shām-e-gesū sifat-e-sub.h-e-ġharībāñ kyā kyā
sun ke kuchh merī pareshānī-e-taqdīr kā haal
ban ke bigḌī hai tirī zulf-e-pareshāñ kyā kyā
lab milā kar lab-e-ḳhanjar se tire o qātil
muskurāte haiñ shigāf-e-dil-e-nālāñ kyā kyā
pūchhte kyā ho 'shagufta' chaman-e-ālam meñ
kyā kahūñ maiñ ki hai be-rahmī-e-ḳhūbāñ kyā kyā
panw phailati hain wo ta-sar-e-daman kya kya
naz karte hain mere chaak-e-gareban kya kya
yaad-e-dandan mein tumhaare jo haya se roya
ashk ne munh ko chhupaya tah-e-daman kya kya
daman-e-dasht mein sau bar watan se mujh ko
khinch lai kashish-e-KHar-e-bayaban kya kya
ghuncha-e-dil se tah-e-KHanjar-e-burran qatil
bu-e-gul ban ke nikal jaenge arman kya kya
lutf uThne nahin deta hai ham-aghoshi ka
ho shab-e-wasl mein KHauf-e-shab-e-hijran kya kya
shadi-e-qatl se tha shauq-e-tabassum mujh ko
surat-e-zaKHm tah-e-KHanjar-e-burran kya kya
na khula uqda-e-gesu-e-sanam wae nasib
dast-e-tadbir thake ho ke pasheman kya kya
naz se KHanjar-e-qatil ki tarah maqtal mein
meri gardan se lipaTta hai gareban kya kya
roz ghaT jata hai kuchh himmat-e-mumsik ki tarah
tang karta hai mujhe gosha-e-zindan kya kya
koi dariya inhen kahta hai koi barish-e-abr
dhoke dete hain mere dida-e-giryan kya kya
roza-daran-e-mohabbat se haya karti hai
sham-e-gesu sifat-e-subh-e-ghariban kya kya
sun ke kuchh meri pareshani-e-taqdir ka haal
ban ke bigDi hai teri zulf-e-pareshan kya kya
lab mila kar lab-e-KHanjar se tere o qatil
muskuraate hain shigaf-e-dil-e-nalan kya kya
puchhte kya ho 'shagufta' chaman-e-alam mein
kya kahun main ki hai be-rahmi-e-KHuban kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.