panw phanse mein hath chhuDane aaya tha
paañv phañse meñ haath chhuḌāne aayā thā
tum se mil kar vāpas jaane aayā thā
saarā shor mire andar kā jaag uTThā
sannāToñ meñ dil bahlāne aayā thā
jañgal jaisī raat kahāñ tanhā kaTtī
terā ġham bhī haath baTāne aayā thā
duniyā par maiñ ne bhī parda Daal diyā
vo bhī dil kī baat batāne aayā thā
āñkheñ jhapkīñ ahd-e-javānī biit gayā
le kar kitne ḳhvāb suhāne aayā thā
'āzim' dil kī kā.ī-zada chaTTānoñ par
dard kā lashkar paañv jamāne aayā thā
panw phanse mein hath chhuDane aaya tha
tum se mil kar wapas jaane aaya tha
sara shor mere andar ka jag uTTha
sannaTon mein dil bahlane aaya tha
jangal jaisi raat kahan tanha kaTti
tera gham bhi hath baTane aaya tha
duniya par main ne bhi parda Dal diya
wo bhi dil ki baat batane aaya tha
aankhen jhapkin ahd-e-jawani bit gaya
le kar kitne KHwab suhane aaya tha
'azim' dil ki kai-zada chaTTanon par
dard ka lashkar panw jamane aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.