panw se lipaTti hai kis ke KHwab ki duniya
paañv se lipaTtī hai kis ke ḳhvāb kī duniyā
kyoñ mujhe bulātī hai phir gulāb kī duniyā
apnī ḳhush-nasībī haiñ ḳhud ko rok rakkhe haiñ
varna khīñch letī hai ye sharāb kī duniyā
kho diyā hai kyā ham ne aur kyā milā ham ko
kyoñ hisāb meñ rakkheñ be-hisāb kī duniyā
jo paḌhā likhā ham ne vo nazar nahīñ aayā
kitnī be-muravvat hai ye kitāb kī duniyā
raat to añdhere meñ be-libās rahtī hai
par sukūn detī hai ye naqāb kī duniyā
panw se lipaTti hai kis ke KHwab ki duniya
kyon mujhe bulati hai phir gulab ki duniya
apni KHush-nasibi hain KHud ko rok rakkhe hain
warna khinch leti hai ye sharab ki duniya
kho diya hai kya hum ne aur kya mila hum ko
kyon hisab mein rakkhen be-hisab ki duniya
jo paDha likha hum ne wo nazar nahin aaya
kitni be-murawwat hai ye kitab ki duniya
raat to andhere mein be-libas rahti hai
par sukun deti hai ye naqab ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.