panw TuTe kabhi rasta TuTa
paañv TuuTe kabhī rasta TuuTā
aas hī TuuTī na dhokā TuuTā
sochiye aage masāfat kyā ho
ḳhvāb ke saath hī sahrā TuuTā
ik aziyyat hai lab-e-barg-e-shafaq
dasht ho aur maiñ sadā kā TuuTā
justujū jaañ se ga.ī sang se saut
saañs kyā TuuTī tamāshā TuuTā
TūTne ko sabhī TuuTe the magar
rāt-bhar koī na mujh sā TuuTā
kyā ajab pyaas thī zarroñ meñ nihāñ
ki har ik gaam pe dariyā TuuTā
panw TuTe kabhi rasta TuTa
aas hi TuTi na dhoka TuTa
sochiye aage masafat kya ho
KHwab ke sath hi sahra TuTa
ek aziyyat hai lab-e-barg-e-shafaq
dasht ho aur main sada ka TuTa
justuju jaan se gai sang se saut
sans kya TuTi tamasha TuTa
TuTne ko sabhi TuTe the magar
raat-bhar koi na mujh sa TuTa
kya ajab pyas thi zarron mein nihan
ki har ek gam pe dariya TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.