papon ki man mein oDh ke poshak raat-din
pāpoñ kī man meñ oḌh ke poshāk rāt-din
kis shaan se chamaktī hai ye ḳhaak rāt-din
dil kā sukūn le ke vo jaane kahāñ gayā
taktā phire hai dīda-e-namnāk rāt-din
gul kī tarah zarā se tabassum ke vāste
kartī hai ziist kaise qabā chaak rāt-din
ye bhī hai ek raaz ki khātā hai pech-o-tāb
apne hī dām-e-vahm meñ idrāk rāt-din
phūloñ kā rang dekh ke ai kushta-e-ḳhizāñ
bulbul kī tarh kar na jigar chaak rāt-din
āshob-e-dahr se to amaañ mil ga.ī magar
ik shor sā rahe hai tah-e-ḳhāk rāt-din
'parkāsh' dil kā dard hai dil meñ abhī talak
kyoñ gūñjtā hai gumbad-e-aflāk rāt-din
papon ki man mein oDh ke poshak raat-din
kis shan se chamakti hai ye KHak raat-din
dil ka sukun le ke wo jaane kahan gaya
takta phire hai dida-e-namnak raat-din
gul ki tarah zara se tabassum ke waste
karti hai zist kaise qaba chaak raat-din
ye bhi hai ek raaz ki khata hai pech-o-tab
apne hi dam-e-wahm mein idrak raat-din
phulon ka rang dekh ke ai kushta-e-KHizan
bulbul ki tarh kar na jigar chaak raat-din
aashob-e-dahr se to aman mil gai magar
ek shor sa rahe hai tah-e-KHak raat-din
'parkash' dil ka dard hai dil mein abhi talak
kyon gunjta hai gumbad-e-aflak raat-din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.