parsai ki baat karte ho
pārsā.ī kī baat karte ho
kyoñ ḳhudā.ī kī baat karte ho
jabki milnā hī ġhair mumkin hai
kyoñ judā.ī kī baat karte ho
tum vafāoñ se ġhair vāqif ho
bevafā.ī kī baat karte ho
tum sarāpā ho kaj-ravī lekin
kaj-adā.ī kī baat karte ho
zulf-e-jānāñ kā huuñ asiir magar
tum rihā.ī kī baat karte ho
ye fareboñ kā daur hai 'tābish'
tum bhalā.ī kī baat karte ho
parsai ki baat karte ho
kyon KHudai ki baat karte ho
jabki milna hi ghair mumkin hai
kyon judai ki baat karte ho
tum wafaon se ghair waqif ho
bewafai ki baat karte ho
tum sarapa ho kaj-rawi lekin
kaj-adai ki baat karte ho
zulf-e-jaanan ka hun asir magar
tum rihai ki baat karte ho
ye farebon ka daur hai 'tabish'
tum bhalai ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.