pas apne koi chaara hi na tha
paas apne koī chārā hī na thā
jo hamārā hai hamārā hī na thā
dil ko aisī chāhateñ matlūb thiiñ
jin pe koī haq hamārā hī na thā
ham se ye bhī faisle sarzad hue
jo gavārā thā gavārā hī na thā
aañkh meñ rakhte bhī kyā vo āsmāñ
jis meñ koī chāñd-tārā hī na thā
is liye duniyā se pīchhe rah ga.e
ham ne apnā dil sañvārā hī na thā
ham to sar ke bal chale aate 'rafī.a'
aap ne ham ko pukārā hī na thā
pas apne koi chaara hi na tha
jo hamara hai hamara hi na tha
dil ko aisi chahaten matlub thin
jin pe koi haq hamara hi na tha
hum se ye bhi faisle sarzad hue
jo gawara tha gawara hi na tha
aankh mein rakhte bhi kya wo aasman
jis mein koi chand-tara hi na tha
is liye duniya se pichhe rah gae
hum ne apna dil sanwara hi na tha
hum to sar ke bal chale aate 'rafia'
aap ne hum ko pukara hi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.