pas-e-iKHlas saKHt hai taklif
pās-e-iḳhlās saḳht hai taklīf
tā-kujā ḳhātir-e-vazī-o-sharīf
chashm o dil se na thī ye chashm hameñ
ki na girya ke ho sakeñge harīf
sub.h tak thā vahīñ ye muḳhlis bhī
aap rakhte the shab jahāñ tashrīf
mujh se tujh bin gayā jo fasl-e-rabī
kab ye ashjār se kare hai ḳharīf
yuuñ kabhū tū ne mai na dī saaqī
nā-e-hulqūm ko samajhte qiif
apne ta.iiñ aap vo nahīñ paate
fikr meñ tujh kamar kī haiñ jo za.iif
kyuuñ na vaahī ho sher 'qā.em' kā
hai divāne kī āḳhirash tasnīf
pas-e-iKHlas saKHt hai taklif
ta-kuja KHatir-e-wazi-o-sharif
chashm o dil se na thi ye chashm hamein
ki na girya ke ho sakenge harif
subh tak tha wahin ye muKHlis bhi
aap rakhte the shab jahan tashrif
mujh se tujh bin gaya jo fasl-e-rabi
kab ye ashjar se kare hai KHarif
yun kabhu tu ne mai na di saqi
na-e-hulqum ko samajhte qif
apne tain aap wo nahin pate
fikr mein tujh kamar ki hain jo zaif
kyun na wahi ho sher 'qaem' ka
hai diwane ki aaKHirash tasnif
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.