pas-e-namus-e-mohabbat ka sawal aaya to
pās-e-nāmūs-e-mohabbat kā savāl aaya to
kahīñ un ko bhī kisī fikr meñ Daal aaya to
jin añdheroñ meñ farozāñ thā mirī fikr kā chāñd
un añdheroñ kī siyāsat ko zavāl aaya to
kar to duuñ tere junūñ-ḳhez laboñ kī tash.hīr
aur agar shīsha-e-idrāk meñ baal aaya to
shauq-e-manzil to mire kaam na aaya lekin
kitnī rāhoñ ke ḳham-o-pech nikāl aaya to
dil meñ vo soz-o-tab-o-tāb kahāñ phir bhī 'atīq'
zindagī ke ka.ī goshe ko ujaal aaya to
pas-e-namus-e-mohabbat ka sawal aaya to
kahin un ko bhi kisi fikr mein Dal aaya to
jin andheron mein farozan tha meri fikr ka chand
un andheron ki siyasat ko zawal aaya to
kar to dun tere junun-KHez labon ki tashhir
aur agar shisha-e-idrak mein baal aaya to
shauq-e-manzil to mere kaam na aaya lekin
kitni rahon ke KHam-o-pech nikal aaya to
dil mein wo soz-o-tab-o-tab kahan phir bhi 'atiq'
zindagi ke kai goshe ko ujal aaya to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.